Powered by Blogger.

mohabbat soch kar karna ye har kisi

mohabbat soch kar karna ye har kisi 
ko azmaati hai...
kisi ka kuch nahi jaata aur kisi ki
jaan chali jaati hai....


Dil ki zarurat har jaan ku hoti hai

Dil ki zarurat har jaan ku h0ti hai
Sitar0n ki zrurat aasman ku h0ti hai
Meri tamanna hai salamat rah0 aap sab
Q ki Achche yaar ki zarurat har insaan ku h0ti hai


kuch bikhare sapne aur ankhoon mein nami hai

kuch bikhare sapne aur ankhoon mein nami hai ..
ek chota sa assma aur umeedoon ki zameen hai.. 
u to bahut kuch hai zindagi mein ..
jise chahte hai uski kami hai...


mere dard ko kisne dekha hai

mere dard ko kisne dekha hai,
jisne dekha hai sirf mujhe dekha hai,
aksar aansu nikalte hai tanhaiyon mein,
mehfil mein logon ne mujhe haste hue dekha hai.


Kitni buri lagti he zindagi jab hum

Kitni buri lagti he zindagi jab hum
tanha mehsus karte hai,
marne k baad milte he 4 kandhe aur
jeete jee hum ek kandhe ko taraste hai...


Roshni kab kum hui pata na chala

Roshni kab kum hui pata na chala,
Khushi kab ghum hui pata na chala.
Aap ki yaad mein khoye kuch is tarha,
Aankh kab nam hui pata na chala.


Khamosh mohabbat ka ehsas hai wo

Kham0sh m0habbat ka ehsas h w0
mere khwaish mere jazbaat h w0
Aksar ye khyaal q aata h dil me ke
Meri pehli aur akhri talash h w0


Youn Tou Koi Bhi Tanha Nahi Hota

Youn Tou Koi Bhi Tanha Nahi Hota,
Chah Ker Kisi Se Juda Nahi Hota,
Mohabbat Ko Majborian Hei Le Dobtein Hein,
Warna Koi Khushi Se Bewafa Nahi Hota..


Ek Pyara Sa Shakhs Aaj Yaad Aya

Ek Pyara Sa Shakhs Aaj Yaad Aya
Ek Guzra Hua Waqt Aaj Yaad Aya
Chupa Leta Tha Jo Mere Dard Ko Seene Me
Aaj fir Dard Hua To Wo Yaad Aya.


Kabhi toh teri palkon par jhilmilaoon main

Kabhi toh teri palkon par jhilmilaoon main,
Tu intezaar kare aur aaoon main !!
Samundar mein le jaa kar fareb mat dena,
Tu kahe toh kinaarey par hi DOOB jaoon main


Jaam pe jaam peene se kya faida

Jaam pe jaam peene se kya faida,
raat ko peeyi sharab subah utar jaayegi.., 
peena hai to do boond bewafai k pee k dekh
saari umr nashe me guzar jaayegi..


tumhe dillagi bhul jaani pdegi.

tumhe dillagi bhul jaani pdegi... 
mahobbat ki raaho me aakar to dekho... 
tadapne pe mere na fir tum hasoge.. 
kabhi dil kisi se lgakar to dekho.....


Tadap ke dekh0 kisiki chahat me

Tadap ke dekh0 kisiki chahat me
th0 samajh paa0ge ke pyaar kya h0ta h
Yunhi mil jaaye agar k0e bina tadpe
th0 kaise jaan paa0ge ke pyaar kya h0ta hai


Raaste Andhere hai dia lekar jaana

Raaste Andhere hai dia lekar jaana
Apne Aansu0 ki zia lekar jaana
Tumhe har mushkil se bacha legi
Bas ghar se hamesha MAA ki Dua lekar jaana


Phoolon se bhi kya pyaar karna

Phoolon se bhi kya pyaar karna,
Kuch pal ke baad murjha jaate hain,
Pyaar karo to kaanton se karo,
Chubhne ke baad bhi yaad aate hain...


hum apne dard ka jikr nhi karte.

hum apne dard ka jikr nhi karte... 
dil ka dard hmara bhi kam nhi H 
hmari muskurane ki aadat ne kar diya badnaam 
logo ne samjha koi gam nhi h


Ek sacha pyaar paane ki chahat thi

Ek sacha pyaar paane ki chahat thi
Dil ku khud hi jalane ki aadat thi
Hamare dil ke zakham na k0e samajh sakha
Qki hame hamesha muskuraane ki aadat thi


Ruthne se pehle ye jaan lo

Ruthne se pehle ye jaan lo.. 
pyar me hum jaisa junun na milaga... 
Chahe dekhlo jaake duniya ki baaho me 
Hmari baaho jaisa sukun na milega....


aye kash tune ek mauka diya to hota

aye kash tune ek mauka diya to hota
hum kudh ko bhula dete tujhe manane k liye
ek bar mud ke dekha to hota
hum jee lete tere anne ki aas me



jab se us ne shahar ko chora har rasta sunsan hua

jab se us ne shahar ko chora har rasta sunsan hua
apna kya hai sare shahar ka ik jaisa nuksan hua
mere hal pe hairat kaisi dard k tanha mausam main
pathar bhi ro parte hain insan to phir insan hua


maiN alfaaz hun tera har baat samajhta hun

maiN alfaaz hun tera har baat samajhta hun,
maiN ehsaas hun tera jazbaat samajhta hun,
kab pucha tujhse ke kyun tu dur hai??
maiN insaan hun tere haalaat samajhta hun.


Khud Jaag Jaag Kar Tune Mujhe Sulaaya

Khud Jaag Jaag Kar Tune Mujhe Sulaaya,
Khud Zakhm Kha Kar Chalna Mujhe Sikhaya,
Meri Shararaton Ka Bhi Tune Sitam Uthaya,
Iss Saari Qaynaat Mein Tujhse Bada Sirf Khuda Hota Hai.


Ahtaram e mohabbath kiya karta hoon

Ahtaram e mohabbath kiya karta hoon ......
Nazro se nazre milakar jiya karta hoon ..... 
Jism toh mitti ka bana boodh hai galib 
mein toh rooh me base dil se pyar kiya karta hoon.


Bijli ke kadakne se darr lagta hain

Bijli ke kadakne se darr lagta hain ...
Kisi ke tadap ne se darr lagta hain....
Mat pooch ke kisse thokar khaya hoon ghalib
ab is dil ke dhadakne se dar lagta hain...


Kash agar kanoon hota mohabbath e karz chukane

Kash agar kanoon hota mohabbath e karz chukane .
kya keemath hoti kisi ka dil dukhne ka.
agar ek begunah ki keemath sari insaniyath hai toh
kya mool hoga mujh jaise dewane ka.


Mana ke pyar ke afsane bahut hain..

Mana ke pyar ke afsane bahut hain .....
shq mein jalne wale dewane bahuth hain ......
Likha hai naam itihaas ke panno pe marne walo ka.
misal e mohabbath bankar jine ki chahath bahuth hai..


jis rah pe hai ghar tera

jis rah pe hai ghar tera,
aksar woha se haan meh hu guzara,
shayad yahi dil meh raha,
tu mujko mil jayee kya pata...


Raat Me Sara Jahan Sota He

Raat Me Sara Jahan Sota He
Magar Kisi Ki Yaad Me Ek Dil Rota He
Fida Kisi Pe Mat Hona Aye Dost Q Ki
Judai Me Dard Bahut Hota He.



Rooh e gulzar ko nazakath milgayi hoti.

Rooh e gulzar ko nazakath milgayi hoti...
saleem e elahi ko mohabbath milgayi hoti..
mughle e azzaam ajj hit na hoti ..
agar anarkali ko badsha ki ijjazath milgayi hoti..


Shisha e husn tha uska adao mein ghroor tha

Shisha e husn tha uska adao mein ghroor tha ...
hawa si chalti thi wo bato mein suroor tha ....
chehre ka noor ajj bhi jhalakar madhosh krta hai....
zamane mei charcha uska bada mashoor tha.


Suraj bhi chand ke liye jalta hoga

Suraj bhi chand ke liye jalta hoga ...
Din bhi raath ke liye dhalta hoga...
Mohabbth toh buland hain ladko se...
shama ko roshan karne mom bhi pigalta hoga.


Tanahah to kardiya tune fanah bhi kardiya hota.

Tanahah to kardiya tune fanah bhi kardiya hota...
is jism ko rooh se juda bhi kardiya hota...
kabtak rotarahoo ye khoon ke ansoo....
bewfai karne wale tune katal bhi kardiya hota...


Wo nighahe jhuka kar bath kiya karte the.

Wo nighahe jhuka kar bath kiya karte the...
hoton ko sharam se milakar muskura kiya karte the......
Inhi adao pe markar khaak hogaya ... .
unki mastani anko se pyar kiya karte the..


Teri yaad har pal ayi hai.

Teri yaad har pal ayi hai....
Lagta hai jaise rooh mein samayi hai...
.har dhadkan mein naam hai tera aur labo pe pyas teri....
jism toh mein hoon tu meri parchaiyi hai ..


Wada karke mukar gayi mujhse

Wada karke mukar gayi mujhse .....
Kuch bataye bina bichad gayi mujhse.....
chod gayi yadoon mein tanha jine ko 
jana tha to jaan bhi lejati mujhse...


Gumnaam karke tune naam kamaliya

Gumnaam karke tune naam kamaliya ... .
Sarre aam karke tune majma jamaliya...
nadan hai shayad ya phir smajha nahi pyar ko .......
Isi nasamajh ko maine apne dil mei basaliya..


Kya misaal doo kuch khayal nahi aata.

Kya misaal doo kuch khayal nahi aata..
kya jawab doo kuch sawal nahi ataa ....
.kashmakash mein hoo ya uski ankho mein khogaya hoon mein...
jadugar hoon kuch kamal nahi atta..


dafan karne wale zara reham hi Kardo..

dafan karne wale zara reham hi Kardo... 
Chand sanse bachi hain inhe khatam hi kardo....
Ankhe khuli rakke marne ka wada hain use...
phir bhi na aye to unhe band hi kardo...


MITTI meri kaber se chura raha hai koi

MITTI meri kaber se chura raha hai koi,
aaj fir mujko chu ker ja raha hai koi,
ae khuda ek din ki zindgi aur de de mujhe,
udaas meri kaber se ja raha hai KOI.


Zindagi choti hai tum bhi pyar karlo.

Zindagi choti hai tum bhi pyar karlo..
do din hi sahi jashn e bahar karlo ....
waqt guzar najaye ladne jhagadne mein.
ishq humne bhi kya hai tumbhi yaar karlo...


Mohabbath kya hai is ka ehssaas to karle.

Mohabbath kya hai is ka ehssaas to karle..
Tujhe bhi hojaye is ki faryaad to karle ... .
naseeb se milta hai ye samandar e ishq...
isme jo dubjaye wo is ko paar karle ...


Kisi ki yaad me ye dil tadapta kyo hai

Kisi ki yaad me ye dil tadapta kyo hai 
Aakhir ye dil kisi se mohabbat karta kyun hai
Agar mile Khuda to puchhu usse 
Tu aakhir seene me dil rakhata kyu hai .


laut jati hai lehre jaise kinara dekh kar

laut jati hai lehre jaise kinara dekh kar, 
waise hi laut jata hai zamana mera gum dekh kar, 
tum kandha na dena mere janaze ko. 
kahi uth na jau main tumhara sahaara dekhkar


Bidaai Ki Ess Be-Basi Mein

Bidaai Ki Ess Be-Basi Mein,
Lafzon Ke Moti Kahaan Se Laaun.
Ashkon Ka Haar Tyyaar Hai,
Kaho To Use Hi Saath Le Aaun


Pyaar Karke Usko Dil Se Mitana Mushkil Tha

Pyaar Karke Usko Dil Se Mitana Mushkil Tha,
Woh Toofan Palkon Par Rok PanaMushkil Tha,
Asaan Lagaa Usse Yaad Kar Ke Mar Jana,
Kyonki Usse Bhool Ke Jee Pana Mushkil Tha


Shayari nahi dard bayan karte hain

Shayari nahi dard bayan karte hain...
Teri bewafayi ka kissa arz kiya karte hain...
na samjha mere gham e alfaz koi koi....
Sun kar log waah waah kiya karte hain..


Meri Duniya Mere Sapne Mere Armaan Tod Gaye

Meri Duniya Mere Sapne Mere Armaan Tod Gaye,
Katl Kiya Mera Mujhe Bejaan Chod Gaye,
Gila Yeh Nahi Ke Tune Khanjar Dil Ke Paar Kiya,
Gila Yeh Hai Ke Wo Khanjar Tum Dil Ke Paar Chod Gaye.


Kuch khwab in aankhon se nikal de

Kuch khwab in aankhon se nikal de
Janat nahi muje ab do kaz ki zameen dila de
Duniya ke gum bholane ke liye 
Bus ek saathi ka kandha dila


Pocha tha ik sahib-e-dil nae mera mizaj

Pocha tha ik sahib-e-dil nae mera mizaj
Bay-sakhta labon pe tera naam aa gaya
Hum nae tumhare baad na rakhi kisi say aas
Ik tajurba buhut tha, bara kaam aa gaya


Kisi ke dil pe kya gujregi koi anjana kya jane

Kisi ke dil pe kya gujregi koi anjana kya jane .....
pyar kise kahte hain ye nadan kya jane ....
uda ke sath le gaya ghar parindon ka ....
kaise bana tha ghonsala ye tufan kya jane


 
Copyright © My Love Quotes. All Rights Reserved.